Friday, September 26, 2008

Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Lahron Se Darr Kar Nauka Paar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Nanhiin Chiteen Jab Daana Lekar Chalti Hai
Chadhti Deewaron Par Sau Baar Phisalti Hai
Mann Ka Vishwaas Ragon Mein Saahas Bharta Hai
Chadh Kar Girna, Girkar Chadhna Naa Aakarta Hai
Aakhir Uski Mehnat Bekaar Nahin Hoti
Koshish Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Dubkiyaan Sindhu Mein GotaKhor Lagaata Hai
Jaa Jaa Kar Khaali Haath Laut Aata Hai
Milte Na Shahaj Moti Paani Mein
Behta Doona Utsaah Isi Hairaani Mein
Muthi Uski Khaali Har Baar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

Asafalta Ek Chunauti Hai Sweekaar Karo
Kya Kami Reh Gayi Dekho Aur Sudhaar Karo
Jab Tak Na safal Ho Neend Chaain Ko Tyaago Tum
Sangharshon Ka Maidaan Chhodh Mat Bhaago Tum
Kucch Kiye Bina Hi Jai Jai Kar Nahin Hoti
Himmat Karne Walon Ki Haar Nahin Hoti

1 comment:

Unknown said...

bahut accha likha hai. aaj ke mahol main toh bahut zaroori bhi hai